How to do Mass Dragon Attack
Hey bhai log, ye bhot zyada tough attack nahi hai, bhot hi zyada aasan hai... Bas thode time baad aap sikh jaaoge, bas kosis karte raho.. Aur ek baar, ye sirf war me use ki jaati hai kyoki dragon bhot hi zyada costly hota hai, to yaar loot ke liye itne saare dragon mai to nahi kahunga ki use karo tum log.. Aur dragon me time bhi zyada lagta hai train hone me.. Waise haa, mai khud Town hall 9 me dragon use karta hu lekin wo ek alag attack hai aur saare Dragon nahi hote, wo attack ke baare me bhi tumko bataaunga... Pehle ye wali dekh lo...
Army composition
Troops- All dragons, Max level or at least high level balloons in CC..
Spells- 6 ka space hota hai TH7 me, to saari Lightening spells le rakho.. 3 spell aayegi
Attack Strategy
Bas ab shuru ho jaao....
Image me dekho..
Ye waise mera town hall 9 ka base hai, samjhane ke liye aise hi bana diya hai, Dekho 2 air defense bilkul aasan hai jaha tak dragon aasani se pahuch kar usko take down kar sakte hai, jin par maine teer ka nishan banaya hai, lekin ek air defense kaafi andar hai waha tak pahuchne me dragon mar bhi sakte hai kyoki jab tak dragon dusri building ko take down karega, tab tak wo air defense (jis par gola banaya hai) tumhare dragon ki waat laga dega...
Tab us situation me kaam aati hai spells, ji haa dosto, sabse peeche waale air defense ko spell se udaa do, aur un air defense ke saamne dragon chhod do, jaha tak wo aasani se pahuch sake,
Matalab photo me dekh kar samjhoge yaar...
Jis air defense par gola maara hai, samajh lo wo Rahul Gandhi hai, aur jin par teer maare hai wo Modi aur Amit Shah hai... Barabar??
To ab Rahul Gandhi par teen lightening spell chhod kar usko take down kar do, aur fir sare dragon ko Modi aur Amit Shah ke saamne chhod do, unki sarkar gir jaayegi...
..
Aur haa dragon ko chhodne ke turant baad, CC ke balloons ko unke peeche chhod dena taaki wo ek do defense (Archer tower, Wizard tower) ko nikaal sake, aur base jaldi se clear ho jaaye...
Is attack me sabse zyada bheja kharab karta hai, air sweeper... Ek to dragon ki speed kam hai, upar se wo baar baar unko peeche dhakel deta hai... Kai baar to iski wajah se bhi attack fail hone ka chance rehta hai.. Par koi nahi dragon attack TH7 ke liye sabse best strategy hai war me use karne ke liye... Aur ye lagbhag sabhi prakar ke bases ko tod sakta hai... Haa kuch special bases bhi hote hai.. Jaise Anti dragon base, jaha dragon attack ke fail hone ka khatra badh jaata hai. War me hamesha CC troops lekar hi jana chahiye, kyoki ek base par sirf ek hi attack kiya ja sakta hai.. Aur war me elixir bahut zyada waste hota hai. To badhiya army ke sath hi attack karna chahiye..
Saavdhaniya-
1. Pehle Rahul Gandhi ko hi udaana chahiye spell se, uske baad dragon chhodna chahiye.
2. Base par attack karne se pehle use study kar lena bahut zaruri hota hai, study bole to ekdum chakachak scout karoge yaar, agar aapko aisa lagta hai ki falana base anti dragon hai to uspar dragon attack mat karna pit jaaoge.
3. Jab tak Lightening spell level 3 ki na ho jaaye aur dragon bhi high level ke na ho, is attack ko try nahi karna chahiye, attack fail hone ka chance rehta hai, waise agar agle ka base bahut zyada tough na ho, to attack karna galat nahi hoga.
Bas zyada kuch nahi bolunga.. Dukaan band karne ka time aa gaya hai,
Bhai ko support karo yaar, taaki mai aur bhi kadak kadak post likhta rahu... Dekho yaar gareeb banda hu, support karna banta hai ok...
Aur ha, agar dragon attack ka video dekhna chahte ho to Yaha click karke dekh lo, attack TH10 par kiya tha, lekin uske paas na to x BOW thi aur na hi inferno towers, isliye usko maxx out TH7 ke attack se compare kar sakte ho... Attack ki strategy bilkul same hai...
Thanks to all
Please share..
Chalo abhi shutter close!!!!

No comments:
Post a Comment
Feel free to write us! Never hesitate!