Do it right way
Hi,
Hindi me hi chalte hai zyada english zhaad
Diye to log angrej samajh lenge... To hum bat kar rahe hai COC ki... Aisa hai ki naye players ko clash of clans ko samjhane me thoda bhot problem to hoti hi hai, Ho bhi kyo na, khud mai bhi starting me kisi aise bande ka blog padh raha tha, jo mere level pe us time baitha hua tha...
Ab aaj mai us level pe baitha hu, isliye mai ek naye bande ke liye same blog hindi me likh raha hu, taaki wo jaldi se jaldi aage badh kar game ka maza utha sake.
Kyoki hum sabhi players ko ye malum hai ki coc ka asli maza TH8 par aane ke baad hi aata hai..
To chalo yaar shuru karte hai...
Tips and tricks for beginners
Dekho bhai log, game bilkul hi simple hai, par ha jo techniques isme use ki jaati hai, wo thodi mushkil hoti hai, kyoki aapko apna khud ka bheja khapana padta hai.
Sabse pehle...
*Jo aapke Gold aur elixir bar ke niche hare hare gems hote hai na, unko bilkul hi use nahi karna kahi pe bhi.. Kam se kam tab tak jab tak aapke paas 5 builder na aa jaaye...
*Kisi bhi builder ko kabhi bhi khali nahi chhodna hai, bilkul unko sone mat do, Upgrade karte raho.
*TH Level 3 pe laboratory milti hai.. Usko Town Hall upgrade karne ke turant baad upgrade karna hai, yaani sabse pehle upgrade hone wali cheej aapki laboratory hi hai...
*Game khelne ki bhot saari techniques hoti hai, jiske hisaab se apna base (Village Layout) set karna hota hai aur army bhi usi hisaab se plan karni hoti hai...
Mai is time Trophy pushing kar raha hu, lekin starting me aapko zyada se zyada farming (Loot) par dhyan dena hoga taaki aap fatafat aage badh sake...
*Koi ek dhang ka clan pakad le aur uske liye honest rahe, baar baar clan change karna aapki image ko kharab kar deta hai.. Apne Village me Clan Castle (CC) build karke aap koi bhi clan join kar sakte hai... Agar aap chahe to mera hi clan join kar sakte hai... Mere clan tag #URYLRUJP ko clan search bar me likh kar search kar sakte hai.... Waha par join ki request daal dijiye, mai sabhi logo ka welcome karta hu.... Clan ka name hai - Silver Sword.
Agar yaar naye ho, to fatak se mera clan join kar lo, mai tum logo ko donation deta rahunga aur tumhe aage badhne me help bhi karunga jo kisi bhi naye bande ke liye plus point hai..
Waise banda mai naya nahi hu, par coc par blogging ka idea bilkul naya hai, aur mujhe tumhare support ki zarurat hai... Baaki to samajh hi gaye hoge... To yaar ab agli post me mai TOWN HALL 7 aur 8 ke liye kuch nayi nayi cheeje lekar aaunga... Wait karoge yaar...

Nice blog...
ReplyDelete